koi naghma banun chandni ne kaha chandni ke liye ek taza ghazal
koi naghma banun chandni ne kaha chandni ke liye ek taza ghazal
Irfan Sattar
MORE BYIrfan Sattar
koī naġhma banūñ chāñdnī ne kahā chāñdnī ke liye ek taaza ġhazal
koī taaza ġhazal phir kisī ne kahā phir kisī ke liye ek taaza ġhazal
zaḳhm-e-furqat ko palkoñ se siite hue saañs lene kī aadat meñ jiite hue
ab bhī zinda ho tum zindagī ne kahā zindagī ke liye ek taaza ġhazal
us kī ḳhvāhish pe tum ko bharosā bhī hai us ke hone na hone kā jhagḌā bhī hai
lutf aayā tumheñ gumrahī ne kahā gumrahī ke liye ek taaza ġhazal
aisī duniyā meñ kab tak guzārā kareñ tum hī kah do ki kaise gavārā kareñ
raat mujh se mirī bebasī ne kahā bebasī ke liye ek taaza ġhazal
manzaroñ se bahalnā zarūrī nahīñ ghar se bāhar nikalnā zarūrī nahīñ
dil ko raushan karo raushnī ne kahā raushnī ke liye ek taaza ġhazal
maiñ ibādat bhī huuñ maiñ mohabbat bhī huuñ zindagī kī numū kī alāmat bhī huuñ
merī palkoñ pe Thahrī namī ne kahā is namī ke liye ek taaza ġhazal
ārzūoñ kī maalā pirone se haiñ ye zamīñ āsmāñ mere hone se haiñ
mujh pe bhī kuchh kaho aadmī ne kahā aadmī ke liye ek taaza ġhazal
apnī tanhā.ī meñ raat maiñ thā magan ek aahaT huī dhyān meñ daf.atan
mujh se bāteñ karo ḳhāmushī ne kahā ḳhāmushī ke liye ek taaza ġhazal
jab rifāqat kā sāmāñ baham kar liyā maiñ ne āḳhir use ham-qadam kar liyā
ab mire dukh saho ham-rahī ne kahā ham-rahī ke liye ek taaza ġhazal
koi naghma banun chandni ne kaha chandni ke liye ek taza ghazal
koi taza ghazal phir kisi ne kaha phir kisi ke liye ek taza ghazal
zaKHm-e-furqat ko palkon se site hue sans lene ki aadat mein jite hue
ab bhi zinda ho tum zindagi ne kaha zindagi ke liye ek taza ghazal
us ki KHwahish pe tum ko bharosa bhi hai us ke hone na hone ka jhagDa bhi hai
lutf aaya tumhein gumrahi ne kaha gumrahi ke liye ek taza ghazal
aisi duniya mein kab tak guzara karen tum hi kah do ki kaise gawara karen
raat mujh se meri bebasi ne kaha bebasi ke liye ek taza ghazal
manzaron se bahalna zaruri nahin ghar se bahar nikalna zaruri nahin
dil ko raushan karo raushni ne kaha raushni ke liye ek taza ghazal
main ibaadat bhi hun main mohabbat bhi hun zindagi ki numu ki alamat bhi hun
meri palkon pe Thahri nami ne kaha is nami ke liye ek taza ghazal
aarzuon ki mala pirone se hain ye zamin aasman mere hone se hain
mujh pe bhi kuchh kaho aadmi ne kaha aadmi ke liye ek taza ghazal
apni tanhai mein raat main tha magan ek aahaT hui dhyan mein dafatan
mujh se baaten karo KHamushi ne kaha KHamushi ke liye ek taza ghazal
jab rifaqat ka saman baham kar liya main ne aaKHir use ham-qadam kar liya
ab mere dukh saho ham-rahi ne kaha ham-rahi ke liye ek taza ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.