koi mahram nahin milta jahan mein
koī mahram nahīñ miltā jahāñ meñ
mujhe kahnā hai kuchh apnī zabāñ meñ
qafas meñ jī nahīñ lagtā kisī tarah
lagā do aag koī āshiyāñ meñ
koī din bul-havas bhī shaad ho leñ
dharā kyā hai ishārāt-e-nihāñ meñ
kahīñ anjām aa pahuñchā vafā kā
ghulā jaatā huuñ ab ke imtihāñ meñ
nayā hai lījiye jab naam us kā
bahut vus'at hai merī dāstāñ meñ
dil-e-pur-dard se kuchh kaam lūñgā
agar fursat milī mujh ko jahāñ meñ
bahut jī ḳhush huā 'hālī' se mil kar
abhī kuchh log baaqī haiñ jahāñ meñ
koi mahram nahin milta jahan mein
mujhe kahna hai kuchh apni zaban mein
qafas mein ji nahin lagta kisi tarah
laga do aag koi aashiyan mein
koi din bul-hawas bhi shad ho len
dhara kya hai ishaaraat-e-nihan mein
kahin anjam aa pahuncha wafa ka
ghula jata hun ab ke imtihan mein
naya hai lijiye jab nam us ka
bahut wus'at hai meri dastan mein
dil-e-pur-dard se kuchh kaam lunga
agar fursat mili mujh ko jahan mein
bahut ji KHush hua 'haali' se mil kar
abhi kuchh log baqi hain jahan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.