koi dawa na de sake mashwara-e-dua diya
koī davā na de sake mashvara-e-duā diyā
chāragaroñ ne aur bhī dil kā dard baḌhā diyā
donoñ ko de ke sūrateñ saath hī aa.ina diyā
'ishq bisorne lagā husn ne muskurā diyā
zauq-e-nigāh ke sivā shauq-e-gunāh ke sivā
mujh ko butoñ se kyā milā mujh ko ḳhudā ne kyā diyā
thī na ḳhizāñ kī rok-thām dāman-e-iḳhtiyār meñ
ham ne bharī bahār meñ apnā chaman luTā diyā
husn-e-nazar kī aabrū san.at-e-barhaman se hai
jis ko sanam banā liyā us ko ḳhudā banā diyā
daaġh hai mujh pe 'ishq kā merā gunāh bhī to dekh
us kī nigāh bhī to dekh jis ne ye gul khilā diyā
'ishq kī mamlikat meñ hai shorish-e-aql-e-nā-murād
ubhrā kahīñ jo ye fasād dil ne vahīñ dabā diyā
naqsh-e-vafā to maiñ hī thā ab mujhe DhūñDte ho kyā
harf-e-ġhalat nazar paḌā tum ne mujhe miTā diyā
ḳhubs-e-darūñ dikhā diyā har dahan-e-ġhalīz ne
kuchh na kahā 'hafīz' ne hañs diyā muskurā diyā
koi dawa na de sake mashwara-e-dua diya
chaaragaron ne aur bhi dil ka dard baDha diya
donon ko de ke suraten sath hi aaina diya
'ishq bisorne laga husn ne muskura diya
zauq-e-nigah ke siwa shauq-e-gunah ke siwa
mujh ko buton se kya mila mujh ko KHuda ne kya diya
thi na KHizan ki rok-tham daman-e-iKHtiyar mein
hum ne bhari bahaar mein apna chaman luTa diya
husn-e-nazar ki aabru sanat-e-barhaman se hai
jis ko sanam bana liya us ko KHuda bana diya
dagh hai mujh pe 'ishq ka mera gunah bhi to dekh
us ki nigah bhi to dekh jis ne ye gul khila diya
'ishq ki mamlikat mein hai shorish-e-aql-e-na-murad
ubhra kahin jo ye fasad dil ne wahin daba diya
naqsh-e-wafa to main hi tha ab mujhe DhunDte ho kya
harf-e-ghalat nazar paDa tum ne mujhe miTa diya
KHubs-e-darun dikha diya har dahan-e-ghaliz ne
kuchh na kaha 'hafiz' ne hans diya muskura diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.