kitne tafakkuraat se aazad ho gaya
kitne tafakkurāt se āzād ho gayā
vo aadmī jo iiñT pe sar rakh ke so gayā
sūraj Dhalā to taaq meñ jaltā huā diyā
tārīkiyoñ se bar-sar-e-paikār ho gayā
apnī ġhalāzateñ thiiñ ki az-rāh-e-iltifāt
sailāb shahr ke dar-o-dīvār dho gayā
ik dost se yahāñ bhī mulāqāt ho ga.ī
rahnā yahāñ bhī ab mirā dushvār ho gayā
ik aur khet pakkī saḌak ne nigal liyā
ik aur gaañv shahr kī vus'at meñ kho gayā
'ḳhālid' mujhe to achchhī tarah yaad bhī nahīñ
vo hādsa jo kal mirī palkeñ bhigo gayā
kitne tafakkuraat se aazad ho gaya
wo aadmi jo inT pe sar rakh ke so gaya
suraj Dhala to taq mein jalta hua diya
tarikiyon se bar-sar-e-paikar ho gaya
apni ghalazaten thin ki az-rah-e-iltifat
sailab shahr ke dar-o-diwar dho gaya
ek dost se yahan bhi mulaqat ho gai
rahna yahan bhi ab mera dushwar ho gaya
ek aur khet pakki saDak ne nigal liya
ek aur ganw shahr ki wus'at mein kho gaya
'KHalid' mujhe to achchhi tarah yaad bhi nahin
wo hadsa jo kal meri palken bhigo gaya
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 394)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.