kitna hasin tha tu kabhi kuchh KHayal kar
kitnā hasīn thā tū kabhī kuchh ḳhayāl kar
ab aur apne aap ko mat pā.emāl kar
marne ke Dar se aur kahāñ tak jiyegā tū
jiine ke din tamām hue intiqāl kar
ik yaad rah ga.ī hai magar vo bhī kam nahīñ
ik dard rah gayā hai so rakhnā sambhāl kar
dekhā to sab ke sar pe gunāhoñ kā bojh thā
ḳhush the tamām nekiyāñ dariyā meñ Daal kar
ḳhvāja ke dar se koī bhī ḳhālī nahīñ gayā
aayā hai itne duur to 'alvī' savāl kar
kitna hasin tha tu kabhi kuchh KHayal kar
ab aur apne aap ko mat paemal kar
marne ke Dar se aur kahan tak jiyega tu
jine ke din tamam hue intiqal kar
ek yaad rah gai hai magar wo bhi kam nahin
ek dard rah gaya hai so rakhna sambhaal kar
dekha to sab ke sar pe gunahon ka bojh tha
KHush the tamam nekiyan dariya mein Dal kar
KHwaja ke dar se koi bhi KHali nahin gaya
aaya hai itne dur to 'alwi' sawal kar
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 49)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.