Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai tera gal mal bose ka

Insha Allah Khan Insha

hai tera gal mal bose ka

Insha Allah Khan Insha

MORE BYInsha Allah Khan Insha

    hai tirā gaal maal bose

    kyuuñ na kiije savāl bose

    muñh lagāte hoñTh par tere

    paḌ gayā naqsh laal bose

    zulf kahtī hai us ke mukhḌe par

    ham ne maarā hai jaal bose

    sub.h ruḳhsār us ke niile the

    shab jo guzrā ḳhayāl bose

    añkhḌiyāñ surḳh ho ga.iiñ chaT se

    dekh liije kamāl bose

    jaan nikle hai aur miyāñ de Daal

    aaj va.ada na Taal bose

    gāliyāñ aap shauq se diije

    raf.a kiije malāl bose

    hai ye taaza shagūfa aur suno

    phuul laayā nihāl bose

    aks se aa.ine meñ kahtā hai

    khīñch kar infi.āl bose

    barg-e-gul se jo chiiz nāzuk hai

    vaañ kahāñ ehtimāl bose

    dekh 'inshā' ne kyā kiyā hai qahr

    mutahammil ye gaal bose

    hai tera gal mal bose ka

    kyun na kije sawal bose ka

    munh lagate hi honTh par tere

    paD gaya naqsh lal bose ka

    zulf kahti hai us ke mukhDe par

    hum ne mara hai jal bose ka

    subh ruKHsar us ke nile the

    shab jo guzra KHayal bose ka

    ankhDiyan surKH ho gain chaT se

    dekh lije kamal bose ka

    jaan nikle hai aur miyan de Dal

    aaj wada na Tal bose ka

    galiyan aap shauq se dije

    rafa kije malal bose ka

    hai ye taza shagufa aur suno

    phul laya nihaal bose ka

    aks se aaine mein kahta hai

    khinch kar infial bose ka

    barg-e-gul se jo chiz nazuk hai

    wan kahan ehtimal bose ka

    dekh 'insha' ne kya kiya hai qahr

    mutahammil ye gal bose ka

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    hai tera gal mal bose ka Fasih Akmal

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now