kisi pe karna nahin etibar meri tarah
kisī pe karnā nahīñ e'tibār merī tarah
luTā ke baiThoge sabr o qarār merī tarah
abhī to hotī haiñ sargoshiyāñ pas-e-dīvār
abhī na karnā sitāre shumār merī tarah
bagūla ban ke uḌā ḳhvāhishoñ ke sahrā meñ
Thahar gayā to faqat thā ġhubār merī tarah
unhīñ ke sāyoñ meñ ab sar jhukā ke chaltā hai
ugā gayā thā jo sarv o ḳhayār merī tarah
kisi pe karna nahin e'tibar meri tarah
luTa ke baiThoge sabr o qarar meri tarah
abhi to hoti hain sargoshiyan pas-e-diwar
abhi na karna sitare shumar meri tarah
bagula ban ke uDa KHwahishon ke sahra mein
Thahar gaya to faqat tha ghubar meri tarah
unhin ke sayon mein ab sar jhuka ke chalta hai
uga gaya tha jo sarw o KHayar meri tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.