kisi harf mein kisi bab mein nahin aaega
kisī harf meñ kisī baab meñ nahīñ aa.egā
tirā zikr merī kitāb meñ nahīñ aa.egā
nahīñ jā.egī kisī aañkh se kahīñ raushnī
koī ḳhvāb us ke azaab meñ nahīñ aa.egā
koī ḳhud ko sahrā nahīñ karegā mirī tarah
koī ḳhvāhishoñ ke sarāb meñ nahīñ aa.egā
dil-e-bad-gumāñ tire mausamoñ ko naved ho
koī ḳhaar dast-e-gulāb meñ nahīñ aa.egā
use laakh dil se pukār lo use dekh lo
koī ek harf javāb meñ nahīñ aa.egā
tirī raah takte rahe agarche ḳhabar bhī thī
ki ye din bhī tere hisāb meñ nahīñ aa.egā
kisi harf mein kisi bab mein nahin aaega
tera zikr meri kitab mein nahin aaega
nahin jaegi kisi aankh se kahin raushni
koi KHwab us ke azab mein nahin aaega
koi KHud ko sahra nahin karega meri tarah
koi KHwahishon ke sarab mein nahin aaega
dil-e-bad-guman tere mausamon ko nawed ho
koi KHar dast-e-gulab mein nahin aaega
use lakh dil se pukar lo use dekh lo
koi ek harf jawab mein nahin aaega
teri rah takte rahe agarche KHabar bhi thi
ki ye din bhi tere hisab mein nahin aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.