kisi bhi raegani se baDa hai
kisī bhī rā.egānī se baḌā hai
ye dukh to zindagānī se baḌā hai
na ham se ishq kā mafhūm pūchho
ye lafz apne ma.ānī se baḌā hai
hamārī aañkh kā ye ek aañsū
tumhārī rājdhānī se baḌā hai
guzar jā.egī saarī raat is meñ
mirā qissa kahānī se baḌā hai
tirā ḳhāmosh sā iz.hār 'rāhat'
kisī kī lan-tarānī se baḌā hai
kisi bhi raegani se baDa hai
ye dukh to zindagani se baDa hai
na hum se ishq ka mafhum puchho
ye lafz apne maani se baDa hai
hamari aankh ka ye ek aansu
tumhaari rajdhani se baDa hai
guzar jaegi sari raat is mein
mera qissa kahani se baDa hai
tera KHamosh sa izhaar 'rahat'
kisi ki lan-tarani se baDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.