kis se bichhDi kaun mila tha bhul gai
kis se bichhḌī kaun milā thā bhuul ga.ī
kaun burā thā kaun thā achchhā bhuul ga.ī
kitnī bāteñ jhūTī thiiñ aur kitnī sach
jitne bhī lafzoñ ko parkhā bhuul ga.ī
chāroñ or the dhundhle dhundhle chehre se
ḳhvāb kī sūrat jo bhī dekhā bhuul ga.ī
suntī rahī maiñ sab ke dukh ḳhāmoshī se
kis kā dukh thā mere jaisā bhuul ga.ī
bhuul ga.ī huuñ kis se merā naata thā
aur ye naata kaise TuuTā bhuul ga.ī
kis se bichhDi kaun mila tha bhul gai
kaun bura tha kaun tha achchha bhul gai
kitni baaten jhuTi thin aur kitni sach
jitne bhi lafzon ko parkha bhul gai
chaaron or the dhundhle dhundhle chehre se
KHwab ki surat jo bhi dekha bhul gai
sunti rahi main sab ke dukh KHamoshi se
kis ka dukh tha mere jaisa bhul gai
bhul gai hun kis se mera nata tha
aur ye nata kaise TuTa bhul gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.