kis nae KHwab mein rahta hun Duboya hua main
kis na.e ḳhvāb meñ rahtā huuñ Duboyā huā maiñ
ek muddat huī jaagā nahīñ soyā huā maiñ
merī sūraj se mulāqāt bhī ho saktī hai
sūkhne Daal diyā jā.ūñ jo dhoyā huā maiñ
mujhe bāhar nahīñ sāmān ke andar DhūñDo
mil bhī saktā huuñ kisī shai meñ samoyā huā maiñ
bāzyābī kī tavaqqo hī kisī ko nahīñ ab
apnī duniyā meñ huuñ is tarah se khoyā huā maiñ
shaam kī āḳhirī aahaT pe dahaltā huā dil
sub.h kī pahlī havāoñ meñ bhigoyā huā maiñ
āsmāñ par koī koñpal sā nikal ā.ūñgā
sāl-hā-sāl se is ḳhaak meñ boyā huā maiñ
kabhī chāhūñ bhī to ab jā bhī kahāñ saktā huuñ
is tarah se tire kāñTe meñ piroyā huā maiñ
mere kahne ke liye baat na.ī thī na koī
kah ke chup ho ga.e sab log to goyā huā maiñ
muskurāte hue miltā huuñ kisī se jo 'zafar'
saaf pahchān liyā jaatā huuñ royā huā maiñ
kis nae KHwab mein rahta hun Duboya hua main
ek muddat hui jaga nahin soya hua main
meri suraj se mulaqat bhi ho sakti hai
sukhne Dal diya jaun jo dhoya hua main
mujhe bahar nahin saman ke andar DhunDo
mil bhi sakta hun kisi shai mein samoya hua main
bazyabi ki tawaqqo hi kisi ko nahin ab
apni duniya mein hun is tarah se khoya hua main
sham ki aaKHiri aahaT pe dahalta hua dil
subh ki pahli hawaon mein bhigoya hua main
aasman par koi konpal sa nikal aaunga
sal-ha-sal se is KHak mein boya hua main
kabhi chahun bhi to ab ja bhi kahan sakta hun
is tarah se tere kanTe mein piroya hua main
mere kahne ke liye baat nai thi na koi
kah ke chup ho gae sab log to goya hua main
muskuraate hue milta hun kisi se jo 'zafar'
saf pahchan liya jata hun roya hua main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.