kis ko dekha hai ye hua kya hai
kis ko dekhā hai ye huā kyā hai
dil dhaḌaktā hai mājrā kyā hai
ik mohabbat thī miT chukī yā rab
terī duniyā meñ ab dharā kyā hai
dil meñ letā hai chuTkiyāñ koī
haa.e is dard kī davā kyā hai
hūreñ nekoñ meñ baT chukī hoñgī
bāġh-e-rizvāñ meñ ab rakhā kyā hai
us ke ahd-e-shabāb meñ jiinā
jiine vaalo tumheñ huā kyā hai
ab davā kaisī hai duā kā vaqt
tere bīmār meñ rahā kyā hai
yaad aatā hai lucknow 'aḳhtar'
ḳhuld ho aa.eñ to burā kyā hai
kis ko dekha hai ye hua kya hai
dil dhaDakta hai majra kya hai
ek mohabbat thi miT chuki ya rab
teri duniya mein ab dhara kya hai
dil mein leta hai chuTkiyan koi
hae is dard ki dawa kya hai
huren nekon mein baT chuki hongi
bagh-e-rizwan mein ab rakha kya hai
us ke ahd-e-shabab mein jina
jine walo tumhein hua kya hai
ab dawa kaisi hai dua ka waqt
tere bimar mein raha kya hai
yaad aata hai lucknow 'aKHtar'
KHuld ho aaen to bura kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.