ki nazar maine jab ehsas ke aaine mein
kī nazar maiñ ne jab ehsās ke ā.īne meñ
apnā dil paayā dhaḌaktā huā har siine meñ
muddateñ guzrīñ mulāqāt huī thī tum se
phir koī aur na aayā nazar ā.īne meñ
apne kāñdhoñ pe liye phirtā huuñ apnī hī salīb
ḳhud mirī maut kā mātam hai mire jiine meñ
apne andāz se andāza lagāyā sab ne
mujh ko yāroñ ne ġhalat kar liyā taḳhmīne meñ
apnī jānib nahīñ ab lauTnā mumkin merā
Dhal gayā huuñ maiñ sarāpā tire ā.īne meñ
ek lamhe ko hī aa jaa.e mayassar 'kaifī'
vo nazar jo mujhe dekhe mire ā.īne meñ
ki nazar main ne jab ehsas ke aaine mein
apna dil paya dhaDakta hua har sine mein
muddaten guzrin mulaqat hui thi tum se
phir koi aur na aaya nazar aaine mein
apne kandhon pe liye phirta hun apni hi salib
KHud meri maut ka matam hai mere jine mein
apne andaz se andaza lagaya sab ne
mujh ko yaron ne ghalat kar liya taKHmine mein
apni jaanib nahin ab lauTna mumkin mera
Dhal gaya hun main sarapa tere aaine mein
ek lamhe ko hi aa jae mayassar 'kaifi'
wo nazar jo mujhe dekhe mere aaine mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.