tum haqiqat nahin ho hasrat ho
tum haqīqat nahīñ ho hasrat ho
jo mile ḳhvāb meñ vo daulat ho
maiñ tumhāre hī dam se zinda huuñ
mar hī jā.ūñ jo tum se fursat ho
tum ho ḳhushbū ke ḳhvāb kī ḳhushbū
aur utnī hī be-muravvat ho
tum ho pahlū meñ par qarār nahīñ
ya.anī aisā hai jaise furqat ho
tum ho añgḌā.ī rang-o-nik.hat kī
kaise añgḌā.ī se shikāyat ho
kis tarah chhoḌ duuñ tumheñ jānāñ
tum mirī zindagī kī aadat ho
kis liye dekhtī ho ā.īna
tum to ḳhud se bhī ḳhūb-sūrat ho
dāstāñ ḳhatm hone vaalī hai
tum mirī āḳhrī mohabbat ho
tum haqiqat nahin ho hasrat ho
jo mile KHwab mein wo daulat ho
main tumhaare hi dam se zinda hun
mar hi jaun jo tum se fursat ho
tum ho KHushbu ke KHwab ki KHushbu
aur utni hi be-murawwat ho
tum ho pahlu mein par qarar nahin
yani aisa hai jaise furqat ho
tum ho angDai rang-o-nikhat ki
kaise angDai se shikayat ho
kis tarah chhoD dun tumhein jaanan
tum meri zindagi ki aadat ho
kis liye dekhti ho aaina
tum to KHud se bhi KHub-surat ho
dastan KHatm hone wali hai
tum meri aaKHri mohabbat ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.