KHwah dil se mujhe na chahe wo
ḳhvāh dil se mujhe na chāhe vo
zāhirī vaz.a to nibāhe vo
garche maiñ kyā mirī vafā.eñ kyā
us kā ehsān agar sarāhe vo
taaki bilkul na bhuul paa.e koī
milte rahte haiñ gaahe gaahe vo
ek hī baat hai mohabbat meñ
chāhe maiñ jiit jā.ūñ chāhe vo
chun sakoge na koī samt 'shu.ūr'
raah meñ ā.eñge do-rāhe vo
KHwah dil se mujhe na chahe wo
zahiri waza to nibahe wo
garche main kya meri wafaen kya
us ka ehsan agar sarahe wo
taki bilkul na bhul pae koi
milte rahte hain gahe gahe wo
ek hi baat hai mohabbat mein
chahe main jit jaun chahe wo
chun sakoge na koi samt 'shuur'
rah mein aaenge do-rahe wo
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 113)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.