KHwab ko KHushnuma banate hue
ḳhvāb ko ḳhushnumā banāte hue
raat guzrī diyā banāte hue
mere lahje se ḳhuun risne lagā
ḳhāmushī ko duā banāte hue
shahr ke shahr kar diye mismār
apnā ḳhalvat-kada banāte hue
apnī sī ḳhaak uḌā ke baiTh rahe
apnā sā qāfila banāte hue
zaal duniyā ko kyā safā.ī deñ
kyā banāyā hai kyā banāte hue
ḳhaak aur ḳhuun jam' kartā huuñ
dasht miTtā huā banāte hue
KHwab ko KHushnuma banate hue
raat guzri diya banate hue
mere lahje se KHun risne laga
KHamushi ko dua banate hue
shahr ke shahr kar diye mismar
apna KHalwat-kada banate hue
apni si KHak uDa ke baiTh rahe
apna sa qafila banate hue
zal duniya ko kya safai den
kya banaya hai kya banate hue
KHak aur KHun jam' karta hun
dasht miTta hua banate hue
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 75)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.