ḳhushbū jaise log mile afsāne meñ
ek purānā ḳhat kholā anjāne meñ
shaam ke saa.e bālishtoñ se naape haiñ
chāñd ne kitnī der lagā dī aane meñ
raat guzarte shāyad thoḌā vaqt lage
dhuup unDelo thoḌī sī paimāne meñ
jaane kis kā zikr hai is afsāne meñ
dard maze letā hai jo dohrāne meñ
dil par dastak dene kaun aa niklā hai
kis kī aahaT suntā huuñ vīrāne meñ
ham is moḌ se uTh kar agle moḌ chale
un ko shāyad umr lagegī aane meñ
KHushbu jaise log mile afsane mein
ek purana KHat khola anjaane mein
sham ke sae baalishton se nape hain
chand ne kitni der laga di aane mein
raat guzarte shayad thoDa waqt lage
dhup unDelo thoDi si paimane mein
jaane kis ka zikr hai is afsane mein
dard maze leta hai jo dohrane mein
dil par dastak dene kaun aa nikla hai
kis ki aahaT sunta hun virane mein
hum is moD se uTh kar agle moD chale
un ko shayad umr lagegi aane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.