khulne hi lage un par asrar-e-shabab aaKHir
khulne hī lage un par asrār-e-shabāb āḳhir
aane hī lagā ham se ab un ko hijāb āḳhir
tāmīl-e-kitāb avval tāvīl-e-kitāb āḳhir
tadbīr o amal avval taqrīr o ḳhitāb āḳhir
is ḳhaak ke putle kī kyā ḳhuub kahānī hai
masjūd-e-malak avval rusvā o ḳharāb āḳhir
go ḳhud vo nahīñ karte baḳhshish meñ hisāb avval
denā hai magar ham ko ik roz hisāb āḳhir
dīdār se pahle hī kyā haal huā dil kā
kyā hogā jo ulTeñge vo ruḳh se naqāb āḳhir
mahrūm ne rah jaanā kotāhi-e-himmat se
hone ko hai ai 'vāsif' ye bazm-e-sharāb āḳhir
khulne hi lage un par asrar-e-shabab aaKHir
aane hi laga hum se ab un ko hijab aaKHir
tamil-e-kitab awwal tawil-e-kitab aaKHir
tadbir o amal awwal taqrir o KHitab aaKHir
is KHak ke putle ki kya KHub kahani hai
masjud-e-malak awwal ruswa o KHarab aaKHir
go KHud wo nahin karte baKHshish mein hisab awwal
dena hai magar hum ko ek roz hisab aaKHir
didar se pahle hi kya haal hua dil ka
kya hoga jo ulTenge wo ruKH se naqab aaKHir
mahrum ne rah jaana kotahi-e-himmat se
hone ko hai ai 'wasif' ye bazm-e-sharab aaKHir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.