shuur-e-qais ne sahra mein KHud-kushi kar li
shu.ūr-e-qais ne sahrā meñ ḳhud-kushī kar lī
kahā gayā ġham-e-lailā meñ ḳhud-kushī kar lī
ġham-e-hayāt ke ātish-kade se aayā thā
vo jis ne kuud ke dariyā meñ ḳhud-kushī kar lī
hamāre qatl kā shāhid to hai har ik lamha
magar ye shor hai duniyā meñ ḳhud-kushī kar lī
milā na jab koī autār mujh ko kal-yug meñ
na.e janam kī tamannā meñ ḳhud-kushī kar lī
junūñ talāsh-e-bayābāñ meñ munhamik hī rahā
ḳhirad ne sāġhar-e-sahbā meñ ḳhud-kushī kar lī
rah-e-hayāt na tai ho sakī to jamunā ne
sunā hai Duub ke gañgā meñ ḳhud-kushī kar lī
shuur-e-qais ne sahra mein KHud-kushi kar li
kaha gaya gham-e-laila mein KHud-kushi kar li
gham-e-hayat ke aatish-kade se aaya tha
wo jis ne kud ke dariya mein KHud-kushi kar li
hamare qatl ka shahid to hai har ek lamha
magar ye shor hai duniya mein KHud-kushi kar li
mila na jab koi autar mujh ko kal-yug mein
nae janam ki tamanna mein KHud-kushi kar li
junun talash-e-bayaban mein munhamik hi raha
KHirad ne saghar-e-sahba mein KHud-kushi kar li
rah-e-hayat na tai ho saki to jamuna ne
suna hai Dub ke ganga mein KHud-kushi kar li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.