dur kyun jaun yahin jalwa-numa baiTha hai
duur kyuuñ jā.ūñ yahīñ jalva-numā baiThā hai
dil mirā arsh hai aur us pe ḳhudā baiThā hai
but-kade meñ tire jalve ne tarāshe patthar
jis ne dekhā yahī jaanā ki ḳhudā baiThā hai
kyā hue aañkh ke parde jo paḌe the ab tak
barmalā hashr meñ kyuuñ aaj ḳhudā baiThā hai
naqsh-e-vahdat hī suvaidā ko kahā karte haiñ
dil meñ ik til hai aur us til meñ ḳhudā baiThā hai
maiñ jo kahtā huuñ ki ka.abe ko na barbād karo
hañs ke but kahte haiñ kyā dil meñ ḳhudā baiThā hai
āsmāñ maiñ tirī gardish se nahīñ Dartā huuñ
tujh ko kis baat kā ġham sar pe ḳhudā baiThā hai
chashm-e-vahdat se jo insān zarā ġhaur kare
jis ko dekhe yahī samjhe ki ḳhudā baiThā hai
apne marne kā zarā ġham na karo tum 'muztar'
yuuñ samajh lo ki jilāne ko ḳhudā baiThā hai
dur kyun jaun yahin jalwa-numa baiTha hai
dil mera arsh hai aur us pe KHuda baiTha hai
but-kade mein tere jalwe ne tarashe patthar
jis ne dekha yahi jaana ki KHuda baiTha hai
kya hue aankh ke parde jo paDe the ab tak
barmala hashr mein kyun aaj KHuda baiTha hai
naqsh-e-wahdat hi suwaida ko kaha karte hain
dil mein ek til hai aur us til mein KHuda baiTha hai
main jo kahta hun ki kabe ko na barbaad karo
hans ke but kahte hain kya dil mein KHuda baiTha hai
aasman main teri gardish se nahin Darta hun
tujh ko kis baat ka gham sar pe KHuda baiTha hai
chashm-e-wahdat se jo insan zara ghaur kare
jis ko dekhe yahi samjhe ki KHuda baiTha hai
apne marne ka zara gham na karo tum 'muztar'
yun samajh lo ki jilane ko KHuda baiTha hai
- Book : Khirman (Part-11) (Pg. 44)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Javed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.