KHud par jo etimad tha jhuTa nikal gaya
ḳhud par jo e'timād thā jhūTā nikal gayā
dariyā mire qayās se gahrā nikal gayā
shāyad batā diyā thā kisī ne mirā pata
mīloñ mirī talāsh meñ rasta nikal gayā
sūraj ġhurūb hote hī tanhā hue shajar
jaane kahāñ añdheroñ meñ saaya nikal gayā
dāman ke chaak siine ko baiThe haiñ jab bhī ham
kyuuñ baar baar suuī se dhāgā nikal gayā
kuchh aur baḌh ga.ī haiñ shajar kī udāsiyāñ
shāḳhoñ se aaj phir koī pattā nikal gayā
pahle to bas lahū pe ye ilzām thā magar
ab āñsuoñ kā rañg bhī kachchā nikal gayā
ab to safar kā koī bhī maqsad nahīñ rahā
ye kyā huā ki paañv kā kāñTā nikal gayā
ye ahl-e-bazm kis liye ḳhāmosh ho ga.e
tauba mirī zabān se ye kyā nikal gayā
KHud par jo e'timad tha jhuTa nikal gaya
dariya mere qayas se gahra nikal gaya
shayad bata diya tha kisi ne mera pata
milon meri talash mein rasta nikal gaya
suraj ghurub hote hi tanha hue shajar
jaane kahan andheron mein saya nikal gaya
daman ke chaak sine ko baiThe hain jab bhi hum
kyun bar bar sui se dhaga nikal gaya
kuchh aur baDh gai hain shajar ki udasiyan
shaKHon se aaj phir koi patta nikal gaya
pahle to bas lahu pe ye ilzam tha magar
ab aansuon ka rang bhi kachcha nikal gaya
ab to safar ka koi bhi maqsad nahin raha
ye kya hua ki panw ka kanTa nikal gaya
ye ahl-e-bazm kis liye KHamosh ho gae
tauba meri zaban se ye kya nikal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.