KHud ko paDhta hun chhoD deta hun
ḳhud ko paḌhtā huuñ chhoḌ detā huuñ
ik varaq roz moḌ detā huuñ
is qadar zaḳhm haiñ nigāhoñ meñ
roz ik ā.īna toḌ detā huuñ
maiñ pujārī baraste phūloñ kā
chhū ke shāḳhoñ ko chhoḌ detā huuñ
tujh se rishta hai reshmī rishta
kachche dhāge maiñ toḌ detā huuñ
kāsa-e-shab meñ ḳhuun sūraj kā
qatra qatra nichoḌ detā huuñ
kāñpte hoñT bhīgtī palkeñ
baat adhūrī hī chhoḌ detā huuñ
ret ke ghar banā banā ke 'farāz'
jaane kyoñ ḳhud hī toḌ detā huuñ
KHud ko paDhta hun chhoD deta hun
ek waraq roz moD deta hun
is qadar zaKHm hain nigahon mein
roz ek aaina toD deta hun
main pujari baraste phulon ka
chhu ke shaKHon ko chhoD deta hun
tujh se rishta hai reshmi rishta
kachche dhage main toD deta hun
kasa-e-shab mein KHun suraj ka
qatra qatra nichoD deta hun
kanpte honT bhigti palken
baat adhuri hi chhoD deta hun
ret ke ghar bana bana ke 'faraaz'
jaane kyon KHud hi toD deta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.