KHud apne jurm ka mujrim ko etiraf na tha
ḳhud apne jurm kā mujrim ko e'tirāf na thā
magar ye jazba ba-nām-e-junūñ muaaf na thā
pighal to saktā hai lohā nigāh-e-azm to ho
ye pahle qaid kī dīvār meñ shigāf na thā
hasad kī gard thiiñ buġhz aur nafrat kī
mire vajūd pe aisā koī ġhilāf na thā
ulajh rahe haiñ bahut log merī shohrat se
kisī ko yuuñ to koī mujh se iḳhtilāf na thā
tire jamāl se mahfil meñ ab sukūn sā hai
vagarna zehn kisī kā kisī se saaf na thā
mirā nasīb ki kashtī kināre lag na sakī
havā kā jhoñkā to vaise mire ḳhilāf na thā
jadīd lahja ye andāz kis liye 'bekal'
tujhe to husn-e-rivāyat se inhirāf na thā
KHud apne jurm ka mujrim ko e'tiraf na tha
magar ye jazba ba-nam-e-junun muaf na tha
pighal to sakta hai loha nigah-e-azm to ho
ye pahle qaid ki diwar mein shigaf na tha
hasad ki gard thin bughz aur nafrat ki
mere wajud pe aisa koi ghilaf na tha
ulajh rahe hain bahut log meri shohrat se
kisi ko yun to koi mujh se iKHtilaf na tha
tere jamal se mahfil mein ab sukun sa hai
wagarna zehn kisi ka kisi se saf na tha
mera nasib ki kashti kinare lag na saki
hawa ka jhonka to waise mere KHilaf na tha
jadid lahja ye andaz kis liye 'bekal'
tujhe to husn-e-riwayat se inhiraf na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.