KHud apne dil mein KHarashen utarna hongi
ḳhud apne dil meñ ḳharāsheñ utārnā hoñgī
abhī to jaag ke rāteñ guzārnā hoñgī
tire liye mujhe hañs hañs ke bolnā hogā
mire liye tujhe zulfeñ sañvārnā hoñgī
tirī sadā se tujhī ko tarāshnā hogā
havā kī chaap se shakleñ ubhārnā hoñgī
abhī to terī tabī.at ko jītne ke liye
dil o nigāh kī sharteñ bhī hārnā hoñgī
tire visāl kī ḳhvāhish ke tez rañgoñ se
tire firāq kī sub.heñ nikhārnā hoñgī
ye shā.irī ye kitābeñ ye āyateñ dil kī
nishāniyāñ ye sabhī tujh pe vārnā hoñgī
KHud apne dil mein KHarashen utarna hongi
abhi to jag ke raaten guzarna hongi
tere liye mujhe hans hans ke bolna hoga
mere liye tujhe zulfen sanwarna hongi
teri sada se tujhi ko tarashna hoga
hawa ki chap se shaklen ubhaarna hongi
abhi to teri tabiat ko jitne ke liye
dil o nigah ki sharten bhi haarna hongi
tere visal ki KHwahish ke tez rangon se
tere firaq ki subhen nikhaarna hongi
ye shairi ye kitaben ye aayaten dil ki
nishaniyan ye sabhi tujh pe warna hongi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.