KHud apne aap se sharmindagi si hoti hai
ḳhud apne aap se sharmindagī sī hotī hai
kabhī kabhī to baḌī be-dilī sī hotī hai
sulagtī dhuup ghanī chāñdnī sī hotī hai
tumhāre saath ye duniyā na.ī sī hotī hai
gale meñ us ke ḳhudā kī ajiib barakat hai
vo boltā hai to ik raushnī sī hotī hai
vo gungunātā hai bele ke phuul khilte haiñ
tamām ghar meñ bichhī chāñdnī sī hotī hai
kiran nikalne se pahle gulāb dekhe haiñ
tumhārī yaad meñ vo tāzgī sī hotī hai
vo muskurātī huī dhuup jaisī āñkhoñ meñ
ghanerī palkoñ ke pīchhe namī sī hotī hai
mirī ġhazal kisī parda-nashīñ kā qissa hai
agar sunā.ūñ to be-pardagī sī hotī hai
maiñ boltā huuñ to ilzām hai baġhāvat kā
maiñ chup rahūñ to baḌī bebasī sī hotī hai
KHud apne aap se sharmindagi si hoti hai
kabhi kabhi to baDi be-dili si hoti hai
sulagti dhup ghani chandni si hoti hai
tumhaare sath ye duniya nai si hoti hai
gale mein us ke KHuda ki ajib barakat hai
wo bolta hai to ek raushni si hoti hai
wo gungunata hai bele ke phul khilte hain
tamam ghar mein bichhi chandni si hoti hai
kiran nikalne se pahle gulab dekhe hain
tumhaari yaad mein wo tazgi si hoti hai
wo muskuraati hui dhup jaisi aankhon mein
ghaneri palkon ke pichhe nami si hoti hai
meri ghazal kisi parda-nashin ka qissa hai
agar sunaun to be-pardagi si hoti hai
main bolta hun to ilzam hai baghawat ka
main chup rahun to baDi bebasi si hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.