KHayal-e-yar sada chashm-e-nam ke sath raha
ḳhayāl-e-yār sadā chashm-e-nam ke saath rahā
mirā jo chaah meñ dam thā vo dam ke saath rahā
gayā sahar vo parī-rū jidhar jidhar yaaro
maiñ us ke sāya-sifat har qadam ke saath rahā
phirā jo bhāgtā mujh se vo shoḳh āhū-chashm
to maiñ bhī thak na rahā go vo ram ke saath rahā
akelā us ko na chhoḌā jo ghar se niklā vo
har ik bahāne se maiñ us sanam ke saath rahā
'nazīr' piir huā to bhī bār-e-nāz-e-butāñ
kuchh us ke dosh ke kuchh pusht-e-ḳham ke saath rahā
KHayal-e-yar sada chashm-e-nam ke sath raha
mera jo chah mein dam tha wo dam ke sath raha
gaya sahar wo pari-ru jidhar jidhar yaro
main us ke saya-sifat har qadam ke sath raha
phira jo bhagta mujh se wo shoKH aahu-chashm
to main bhi thak na raha go wo ram ke sath raha
akela us ko na chhoDa jo ghar se nikla wo
har ek bahane se main us sanam ke sath raha
'nazir' pir hua to bhi bar-e-naz-e-butan
kuchh us ke dosh ke kuchh pusht-e-KHam ke sath raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.