dukh dard mein hamesha nikale tumhaare KHat
dukh dard meñ hamesha nikāle tumhāre ḳhat
aur mil ga.ī ḳhushī to uchhāle tumhāre ḳhat
sab chūḌiyāñ tumhārī samundar ko sauñp diiñ
aur kar diye havā ke havāle tumhāre ḳhat
mere lahū meñ guuñj rahā hai har ek lafz
maiñ ne ragoñ ke dasht meñ paale tumhāre ḳhat
yuuñ to haiñ be-shumār vafā kī nishāniyāñ
lekin har ek shai se nirāle tumhāre ḳhat
jaise ho umr bhar kā asāsa ġharīb kā
kuchh is tarah se maiñ ne sambhāle tumhāre ḳhat
ahl-e-hunar ko mujh pe 'vasī' e'tirāz hai
maiñ ne jo apne sher meñ Dhāle tumhāre ḳhat
parvā mujhe nahīñ hai kisī chāñd kī 'vasī'
zulmat ke dasht meñ haiñ ujāle tumhāre ḳhat
dukh dard mein hamesha nikale tumhaare KHat
aur mil gai KHushi to uchhaale tumhaare KHat
sab chuDiyan tumhaari samundar ko saunp din
aur kar diye hawa ke hawale tumhaare KHat
mere lahu mein gunj raha hai har ek lafz
main ne ragon ke dasht mein pale tumhaare KHat
yun to hain be-shumar wafa ki nishaniyan
lekin har ek shai se nirale tumhaare KHat
jaise ho umr bhar ka asasa gharib ka
kuchh is tarah se main ne sambhaale tumhaare KHat
ahl-e-hunar ko mujh pe 'wasi' e'tiraaz hai
main ne jo apne sher mein Dhaale tumhaare KHat
parwa mujhe nahin hai kisi chand ki 'wasi'
zulmat ke dasht mein hain ujale tumhaare KHat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.