raat tarik raste KHamosh
raat tārīk rāste ḳhāmosh
manziloñ tak haiñ qumqume ḳhāmosh
ārzūoñ ke Dhe ga.e ahrām
hasratoñ ke haiñ maqbare ḳhāmosh
dil ke ujḌe nagar se guzre haiñ
kitnī yādoñ ke qāfile ḳhāmosh
muntazir the jo merī aamad ke
haiñ muñDeroñ pe vo diye ḳhāmosh
mere mustaqbil-e-mohabbat par
zindagī ke haiñ tajribe ḳhāmosh
zehn-e-āzar hai ḳhvāb-gāh-e-jumūd
fikr-o-fan ke haiñ but-kade ḳhāmosh
raat tarik raste KHamosh
manzilon tak hain qumqume KHamosh
aarzuon ke Dhe gae ahram
hasraton ke hain maqbare KHamosh
dil ke ujDe nagar se guzre hain
kitni yaadon ke qafile KHamosh
muntazir the jo meri aamad ke
hain munDeron pe wo diye KHamosh
mere mustaqbil-e-mohabbat par
zindagi ke hain tajribe KHamosh
zehn-e-azar hai KHwab-gah-e-jumud
fikr-o-fan ke hain but-kade KHamosh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.