KHalish-e-hijr-e-daimi na gai
ḳhalish-e-hijr-e-dā.imī na ga.ī
tere ruḳh se ye be-ruḳhī na ga.ī
pūchhte haiñ ki kyā huā dil ko
husn vāloñ kī sādgī na ga.ī
sar se saudā gayā mohabbat kā
dil se par us kī be-kalī na ga.ī
aur sab kī hikāyateñ kah diiñ
baat apnī kabhī kahī na ga.ī
ham bhī ghar se 'munīr' tab nikle
baat apnoñ kī jab sahī na ga.ī
KHalish-e-hijr-e-daimi na gai
tere ruKH se ye be-ruKHi na gai
puchhte hain ki kya hua dil ko
husn walon ki sadgi na gai
sar se sauda gaya mohabbat ka
dil se par us ki be-kali na gai
aur sab ki hikayaten kah din
baat apni kabhi kahi na gai
hum bhi ghar se 'munir' tab nikle
baat apnon ki jab sahi na gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.