KHala ke darmiyani mausamon mein
ḳhalā ke darmiyānī mausamoñ meñ
zamīñ hai āsmānī mausamoñ meñ
mileñge ḳhāk-zāde raushnī se
abad ke kahkashānī mausamoñ meñ
havā.eñ phuul ḳhushbū dhuup bārish
kisī kī har nishānī mausamoñ meñ
mohabbat ke Thikāne DhūñDhtī hai
badan kī lā-makānī mausamoñ meñ
anokhe zā.iqe sulgā rahī hai
lahū kī aag paanī mausamoñ meñ
samundar aur havā ke bhed 'nāsir'
khuleñge bādbānī mausamoñ meñ
KHala ke darmiyani mausamon mein
zamin hai aasmani mausamon mein
milenge KHak-zade raushni se
abad ke kahkashani mausamon mein
hawaen phul KHushbu dhup barish
kisi ki har nishani mausamon mein
mohabbat ke Thikane DhunDhti hai
badan ki la-makani mausamon mein
anokhe zaiqe sulga rahi hai
lahu ki aag pani mausamon mein
samundar aur hawa ke bhed 'nasir'
khulenge baadbani mausamon mein
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 192)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 7,8 Oct 1998 To Mar.1999)
- Edition : Issue No. 7,8 Oct 1998 To Mar.1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.