KHair se dil ko teri yaad se kuchh kaam to hai
ḳhair se dil ko tirī yaad se kuchh kaam to hai
vasl kī shab na sahī hijr kā hañgām to hai
nūr-e-aflāk se raushan ho shab-e-ġham ki na ho
chāñd tāroñ se mirā naama o paiġhām to hai
kam nahīñ ai dil-e-betāb matā-e-ummīd
dast-e-mai-ḳhvār meñ ḳhālī hī sahī jaam to hai
bām-e-ḳhurshīd se utre ki na utre koī sub.h
ḳhema-e-shab meñ bahut der se kohrām to hai
jo bhī ilzām mire ishq pe aayā ho 'na.īm'
un se vābasta kisī taur mirā naam to hai
KHair se dil ko teri yaad se kuchh kaam to hai
wasl ki shab na sahi hijr ka hangam to hai
nur-e-aflak se raushan ho shab-e-gham ki na ho
chand taron se mera nama o paigham to hai
kam nahin ai dil-e-betab mata-e-ummid
dast-e-mai-KHwar mein KHali hi sahi jam to hai
baam-e-KHurshid se utre ki na utre koi subh
KHema-e-shab mein bahut der se kohram to hai
jo bhi ilzam mere ishq pe aaya ho 'naim'
un se wabasta kisi taur mera nam to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.