KHafa ho kar KHayalon mein bhi aana chhoD dete hain
ḳhafā ho kar ḳhayāloñ meñ bhī aanā chhoḌ dete haiñ
kisī ko yaar is darja bhī tanhā chhoḌ dete haiñ
samajhte hī nahīñ haiñ log nā-samjhī kī mushkil ko
suhūlat dekhte haiñ aur samajhnā chhoḌ dete haiñ
ye ham bhī jānte haiñ mulk-gīrī shauq hai be-jā
magar ham jiit kar fauran ilāqa chhoḌ dete haiñ
tire do ghūñT pī kar tishnagī bhaḌkī to ye jaanā
vahī achchhe haiñ jo bilkul piyāsā chhoḌ dete haiñ
hamāre dil meñ ab tāqat nahīñ sadme uThāne kī
bahut bhāne lage jo us se milnā chhoḌ dete haiñ
guzartī haiñ jo fīl-e-shab pe saj-dhaj kar tirī yādeñ
ham un par apne sag-hā-e-tamannā chhoḌ dete haiñ
hamāre muñh pe us ne aa.ine se dhuup tak pheñkī
abhī tak ham samajh kar us ko bachcha chhoḌ dete haiñ
tumhārā jaise jī chāhe koī anjām likh lenā
chalo ham aaj ye qissa adhūrā chhoḌ dete haiñ
hamesha jaan dete haiñ udhar māshūq duniyā par
idhar āshiq vahī duniyā hamesha chhoḌ dete haiñ
KHafa ho kar KHayalon mein bhi aana chhoD dete hain
kisi ko yar is darja bhi tanha chhoD dete hain
samajhte hi nahin hain log na-samjhi ki mushkil ko
suhulat dekhte hain aur samajhna chhoD dete hain
ye hum bhi jaante hain mulk-giri shauq hai be-ja
magar hum jit kar fauran ilaqa chhoD dete hain
tere do ghunT pi kar tishnagi bhaDki to ye jaana
wahi achchhe hain jo bilkul piyasa chhoD dete hain
hamare dil mein ab taqat nahin sadme uThane ki
bahut bhane lage jo us se milna chhoD dete hain
guzarti hain jo fil-e-shab pe saj-dhaj kar teri yaaden
hum un par apne sag-ha-e-tamanna chhoD dete hain
hamare munh pe us ne aaine se dhup tak phenki
abhi tak hum samajh kar us ko bachcha chhoD dete hain
tumhaara jaise ji chahe koi anjam likh lena
chalo hum aaj ye qissa adhura chhoD dete hain
hamesha jaan dete hain udhar mashuq duniya par
idhar aashiq wahi duniya hamesha chhoD dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.