KHana-saz ujala mar
ḳhāna-sāz ujālā maar
chāñd pe apnā bhālā maar
nuur kā dariyā phuuT paḌe
hijr kā aisā naala maar
rāsta paanī māñgtā hai
apne paañv kā chhālā maar
ḳhaas ko rañg aam dikhā
adnā.ī se aalā maar
chhoḌ ye zillat dasht ko chal
shahr ke ghar ko taalā maar
ruuh bhī sar ho jā.egī
pahle badan kā paalā maar
der na kar 'farhat-ehsās'
maar safed pe kaalā maar
KHana-saz ujala mar
chand pe apna bhaala mar
nur ka dariya phuT paDe
hijr ka aisa nala mar
rasta pani mangta hai
apne panw ka chhaala mar
KHas ko rang aam dikha
adnai se aala mar
chhoD ye zillat dasht ko chal
shahr ke ghar ko tala mar
ruh bhi sar ho jaegi
pahle badan ka pala mar
der na kar 'farhat-ehsas'
mar safed pe kala mar
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 54)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.