KHak nind aae agar dida-e-bedar mile
ḳhaak niiñd aa.e agar dīda-e-bedār mile
is ḳharābe meñ kahāñ ḳhvāb ke āsār mile
us ke lahje meñ qayāmat kī fusūñ-kārī thī
log āvāz kī lazzat meñ giraftār mile
us kī āñkhoñ meñ mohabbat ke diye jalte raheñ
aur pindār meñ inkār kī dīvār mile
mere andar use khone kī tamannā kyuuñ hai
jis ke milne se mirī zaat ko iz.hār mile
ruuh meñ reñgtī rahtī hai gunah kī ḳhvāhish
is amarbel ko ik din koī dīvār mile
KHak nind aae agar dida-e-bedar mile
is KHarabe mein kahan KHwab ke aasar mile
us ke lahje mein qayamat ki fusun-kari thi
log aawaz ki lazzat mein giraftar mile
us ki aankhon mein mohabbat ke diye jalte rahen
aur pindar mein inkar ki diwar mile
mere andar use khone ki tamanna kyun hai
jis ke milne se meri zat ko izhaar mile
ruh mein rengti rahti hai gunah ki KHwahish
is amarbel ko ek din koi diwar mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.