kaun maslub hua husn ka kirdar ki hum
kaun maslūb huā husn kā kirdār ki ham
shohrat-e-ishq meñ badnām huā yaar ki ham
din ko thā kūcha-e-dildār meñ sāyoñ kā hujūm
raat aa.ī to ga.e sāya-e-dīvār ki ham
ishq ke rabt se hai husn kā paikar tābāñ
kaT ke ab aap hue naqsh-ba-dīvār ki ham
shor-e-tahsīn se haiñ ḳhalq ke chehre raushan
surḳh-rū bāzū-e-qātil hai ki talvār ki ham
kis ko ḳhāmosh mohabbat pe bharosā na rahā
vo haiñ lafzoñ meñ mohabbat ke talabgār ki ham
kaun maslub hua husn ka kirdar ki hum
shohrat-e-ishq mein badnam hua yar ki hum
din ko tha kucha-e-dildar mein sayon ka hujum
raat aai to gae saya-e-diwar ki hum
ishq ke rabt se hai husn ka paikar taban
kaT ke ab aap hue naqsh-ba-diwar ki hum
shor-e-tahsin se hain KHalq ke chehre raushan
surKH-ru bazu-e-qatil hai ki talwar ki hum
kis ko KHamosh mohabbat pe bharosa na raha
wo hain lafzon mein mohabbat ke talabgar ki hum
- Book : Pakistani Adab (Pg. 675)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.