kaun KHwahish kare ki aur jiye
kaun ḳhvāhish kare ki aur jiye
ek bezār zindagī ke liye
aur koī nahīñ hai us ke sivā
sukh diye dukh diye usī ne diye
aao hoñToñ pe lafz rakh leñ ham
ek muddat huī hai baat kiye
zaḳhm ko raas aa ga.ī hai havā
ab masīhā ise siye na siye
us ke piyāle meñ zahr hai ki sharāb
kaise ma.alūm ho baġhair piye
ab thakan dard bantī jaatī hai
dil se kuchh kaam bhī to aise liye
maiñ ne maañ kā libās jab pahnā
mujh ko titlī ne apne rañg diye
kaun KHwahish kare ki aur jiye
ek bezar zindagi ke liye
aur koi nahin hai us ke siwa
sukh diye dukh diye usi ne diye
aao honTon pe lafz rakh len hum
ek muddat hui hai baat kiye
zaKHm ko ras aa gai hai hawa
ab masiha ise siye na siye
us ke piyale mein zahr hai ki sharab
kaise malum ho baghair piye
ab thakan dard banti jati hai
dil se kuchh kaam bhi to aise liye
main ne man ka libas jab pahna
mujh ko titli ne apne rang diye
- Book : yadain bhi ab khwab hoin (Pg. 88)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.