kaun batae kaun sujhae kaun se des sidhaar gae
kaun batā.e kaun sujhā.e kaun se des sidhār ga.e
un kā rasta takte takte nain hamāre haar ga.e
kāñToñ ke dukh sahne meñ taskīn bhī thī ārām bhī thā
hañsne vaale bhole-bhāle phuul chaman ke maar ga.e
ek lagan kī baat hai jīvan ek lagan hī jīvan hai
pūchh na kyā khoyā kyā paayā kyā jiite kyā haar ga.e
aane vaalī barkhā dekheñ kyā dikhlā.e āñkhoñ ko
ye barkhā barsāte din to bin pirītam be-kār ga.e
jab bhī lauTe pyaar se lauTe phuul na pā kar gulshan meñ
bhañvre amrit ras kī dhun meñ pal pal sau sau baar ga.e
ham se pūchho sāhil vaalo kyā biitī dukhiyāroñ par
khevan-hāre biich bhañvar meñ chhoḌ ke jab us paar ga.e
kaun batae kaun sujhae kaun se des sidhaar gae
un ka rasta takte takte nain hamare haar gae
kanTon ke dukh sahne mein taskin bhi thi aaram bhi tha
hansne wale bhole-bhaale phul chaman ke mar gae
ek lagan ki baat hai jiwan ek lagan hi jiwan hai
puchh na kya khoya kya paya kya jite kya haar gae
aane wali barkha dekhen kya dikhlae aankhon ko
ye barkha barsate din to bin piritam be-kar gae
jab bhi lauTe pyar se lauTe phul na pa kar gulshan mein
bhanwre amrit ras ki dhun mein pal pal sau sau bar gae
hum se puchho sahil walo kya biti dukhiyaron par
khewan-haare bich bhanwar mein chhoD ke jab us par gae
- Book : kulliyat-e-habib jaalib (Pg. 61)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.