kaleja munh ko aata hai shab-e-furqat jab aati hai
kalejā muñh ko aatā hai shab-e-furqat jab aatī hai
akele muñh lapeTe rote rote jaan jaatī hai
lab-e-nāzuk ke bose luuñ to missī muñh banātī hai
kaf-e-pā ko agar chūmūñ to mehñdī rañg laatī hai
dikhātī hai kabhī bhālā kabhī barchhī lagātī hai
nigāh-e-nāz-e-jānāñ ham ko kyā kyā āzmātī hai
vo bikhrāne lage zulfoñ ko chehre par to maiñ samjhā
ghaTā meñ chāñd yā mahmil meñ lailā muñh chhupātī hai
karegī apne hāthoñ aaj apnā ḳhuun mashshāta
bahut rach-rach ke talvoñ meñ tire mehñdī lagātī hai
na koī zor us ayyār par ab tak chalā apnā
yahāñ dam TūTtā hai aur dam meñ jaan jaatī hai
taḌapnā tilmilānā loTnā sar pīTnā ronā
shab-e-furqat akelī jaan par sau aafat aatī hai
pachhāḌeñ khā rahā huuñ loTtā huuñ dard-e-furqat se
ajal ke paañv TūTeñ kyuuñ nahīñ is vaqt aatī hai
kaleja munh ko aata hai shab-e-furqat jab aati hai
akele munh lapeTe rote rote jaan jati hai
lab-e-nazuk ke bose lun to missi munh banati hai
kaf-e-pa ko agar chumun to mehndi rang lati hai
dikhati hai kabhi bhaala kabhi barchhi lagati hai
nigah-e-naz-e-jaanan hum ko kya kya aazmati hai
wo bikhrane lage zulfon ko chehre par to main samjha
ghaTa mein chand ya mahmil mein laila munh chhupati hai
karegi apne hathon aaj apna KHun mashshata
bahut rach-rach ke talwon mein tere mehndi lagati hai
na koi zor us ayyar par ab tak chala apna
yahan dam TuTta hai aur dam mein jaan jati hai
taDapna tilmilana loTna sar piTna rona
shab-e-furqat akeli jaan par sau aafat aati hai
pachhaDen kha raha hun loTta hun dard-e-furqat se
ajal ke panw TuTen kyun nahin is waqt aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.