kal wo jo pa-e-shikar nikla
kal vo jo pa-e-shikār niklā
har dil ho umīd-vār niklā
jiine kī nahīñ umiid ham ko
tiir us kā jigar ke paar niklā
ham ḳhaak bhī ho ga.e par ab tak
dil se na tire ġhubār niklā
joñ baam pe be-naqāb ho kar
vo māh-ruḳh ek baar niklā
us roz muqābil us ke ḳhurshīd
niklā bhī to sharmsār niklā
ġham-ḳhvār ho kaun ab hamārā
jab tū hī na ġham-gusār niklā
the jis kī talāsh meñ ham ab tak
paas apne hī vo nigār niklā
har-chand meñ kī sarishk baarī
par dil se na ye buḳhār niklā
'bedār' hai ḳhair to ki shab ko
juuñ sham.a tū ashk-bār niklā
guzrā hai ḳhayāl kis kā jī meñ
aisā jo tū be-qarār niklā
kal wo jo pa-e-shikar nikla
har dil ho umid-war nikla
jine ki nahin umid hum ko
tir us ka jigar ke par nikla
hum KHak bhi ho gae par ab tak
dil se na tere ghubar nikla
jon baam pe be-naqab ho kar
wo mah-ruKH ek bar nikla
us roz muqabil us ke KHurshid
nikla bhi to sharmsar nikla
gham-KHwar ho kaun ab hamara
jab tu hi na gham-gusar nikla
the jis ki talash mein hum ab tak
pas apne hi wo nigar nikla
har-chand mein ki sarishk bari
par dil se na ye buKHar nikla
'bedar' hai KHair to ki shab ko
jun shama tu ashk-bar nikla
guzra hai KHayal kis ka ji mein
aisa jo tu be-qarar nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.