kal wasl mein bhi nind na aai tamam shab
kal vasl meñ bhī niiñd na aa.ī tamām shab
ek ek baat par thī laḌā.ī tamām shab
ye bhī hai zulm to ki use vasl meñ rahā
zikr-e-tulū-e-sub.h-e-judā.ī tamām shab
kis be-adab ko arz-e-havas har nigah meñ thī
aañkh us ne bazm meñ na uThā.ī tamām shab
yaañ iltimās-e-shauq vahāñ ehtirāz-e-nāz
mushkil huī thī ohda-barā.ī tamām shab
kyā sar pe kohkan ke huī be-sutūñ se aaj
'mamnūñ' sadā-e-tesha na aa.ī tamām shab
kal wasl mein bhi nind na aai tamam shab
ek ek baat par thi laDai tamam shab
ye bhi hai zulm to ki use wasl mein raha
zikr-e-tulu-e-subh-e-judai tamam shab
kis be-adab ko arz-e-hawas har nigah mein thi
aankh us ne bazm mein na uThai tamam shab
yan iltimas-e-shauq wahan ehtiraaz-e-naz
mushkil hui thi ohda-barai tamam shab
kya sar pe kohkan ke hui be-sutun se aaj
'mamnun' sada-e-tesha na aai tamam shab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.