kal raat suni chhat pe ajab saneha hua
kal raat suunī chhat pe ajab sāneha huā
jaane do yaar kaun batā.e ki kyā huā
nazroñ se nāptā hai samundar kī vus.ateñ
sāhil pe ik shaḳhs akelā khaḌā huā
lambī saḌak pe duur talak koī bhī na thā
palkeñ jhapak rahā thā darīcha khulā huā
maanā ki tū zahīn bhī hai ḳhūb-rū bhī hai
tujh sā na maiñ huā to bhalā kyā burā huā
din Dhal rahā thā jab use dafnā ke aa.e the
sūraj bhī thā malūl zamīñ par jhukā huā
kyā zulm hai ki shahr meñ rahne ko ghar nahīñ
jañgal meñ peḌ peḌ pe thā ghar banā huā
'alvī' ġhazal kā ḳhabt abhī kam nahīñ huā
jā.egā jī ke saath ye haukā lagā huā
kal raat suni chhat pe ajab saneha hua
jaane do yar kaun batae ki kya hua
nazron se napta hai samundar ki wusaten
sahil pe ek shaKHs akela khaDa hua
lambi saDak pe dur talak koi bhi na tha
palken jhapak raha tha daricha khula hua
mana ki tu zahin bhi hai KHub-ru bhi hai
tujh sa na main hua to bhala kya bura hua
din Dhal raha tha jab use dafna ke aae the
suraj bhi tha malul zamin par jhuka hua
kya zulm hai ki shahr mein rahne ko ghar nahin
jangal mein peD peD pe tha ghar bana hua
'alwi' ghazal ka KHabt abhi kam nahin hua
jaega ji ke sath ye hauka laga hua
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 103)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.