kal main inhi raston se guzra to bahut roya
kal maiñ inhī rastoñ se guzrā to bahut royā
sochī huī bātoñ ko sochā to bahut royā
dil merā har ik shai ko ā.īna samajhtā hai
Dhalte hue sūraj ko dekhā to bahut royā
jo shaḳhs na royā thā taptī huī rāhoñ meñ
dīvār ke saa.e meñ baiThā to bahut royā
āsāñ to nahīñ apnī hastī se guzar jaanā
utrā jo samundar meñ dariyā to bahut royā
jis mauj se ubhrā thā us mauj pe kyā guzrī
sahrā meñ vo bādal kā TukḌā to bahut royā
ham terī tabī.at ko 'ḳhurshīd' nahīñ samjhe
patthar nazar aatā thā royā to bahut royā
kal main inhi raston se guzra to bahut roya
sochi hui baaton ko socha to bahut roya
dil mera har ek shai ko aaina samajhta hai
Dhalte hue suraj ko dekha to bahut roya
jo shaKHs na roya tha tapti hui rahon mein
diwar ke sae mein baiTha to bahut roya
aasan to nahin apni hasti se guzar jaana
utra jo samundar mein dariya to bahut roya
jis mauj se ubhra tha us mauj pe kya guzri
sahra mein wo baadal ka TukDa to bahut roya
hum teri tabiat ko 'KHurshid' nahin samjhe
patthar nazar aata tha roya to bahut roya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.