kaise unhen bhulaun mohabbat jinhon ne ki
kaise unheñ bhulā.ūñ mohabbat jinhoñ ne kī
mujh ko to vo bhī yaad haiñ nafrat jinhoñ ne kī
duniyā meñ ehtirām ke qābil vo log haiñ
ai zillat-e-vafā tirī izzat jinhoñ ne kī
tazīn-e-kā.enāt kā baa.is vahī bane
duniyā se iḳhtilāf kī jur.at jinhoñ ne kī
āsūdgān-e-manzil-e-lailā udaas haiñ
achchhe rahe, na tai ye masāfat jinhoñ ne kī
ahl-e-havas to ḳhair havas meñ hue zalīl
vo bhī hue ḳharāb, mohabbat jinhoñ ne kī
kaise unhen bhulaun mohabbat jinhon ne ki
mujh ko to wo bhi yaad hain nafrat jinhon ne ki
duniya mein ehtiram ke qabil wo log hain
ai zillat-e-wafa teri izzat jinhon ne ki
tazin-e-kaenat ka bais wahi bane
duniya se iKHtilaf ki jurat jinhon ne ki
aasudgan-e-manzil-e-laila udas hain
achchhe rahe, na tai ye masafat jinhon ne ki
ahl-e-hawas to KHair hawas mein hue zalil
wo bhi hue KHarab, mohabbat jinhon ne ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.