kaisa Dar ashkon ki naql-e-makani par
kaisā Dar ashkoñ kī naql-e-makānī par
hijr kā pahra hai āñkhoñ ke paanī par
us ko hañstā dekh ke phuul the hairat meñ
vo hañstī thī phūloñ kī hairānī par
chashme ke paanī jaisā shaffāf huuñ maiñ
daaġh koī dil meñ hai na peshānī par
girah lagā kar chādar Daalī misre kī
maiñ ne dūsre misre kī uryānī par
val-asr innal-insānā kā vird kiyā
vaar dī shahroñ kī raunaq vīrānī par
kaisa Dar ashkon ki naql-e-makani par
hijr ka pahra hai aankhon ke pani par
us ko hansta dekh ke phul the hairat mein
wo hansti thi phulon ki hairani par
chashme ke pani jaisa shaffaf hun main
dagh koi dil mein hai na peshani par
girah laga kar chadar Dali misre ki
main ne dusre misre ki uryani par
wal-asr innal-insana ka wird kiya
war di shahron ki raunaq virani par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.