kai andheron ke milne se raat banti hai
ka.ī añdheroñ ke milne se raat bantī hai
aur is ke ba.ad charāġhoñ kī baat bantī hai
kare jo koī to mismār hī nahīñ hotī
na jaane kaun se miTTī kī zaat bantī hai
banātā huuñ maiñ tasavvur meñ us kā chehra magar
har ek baar na.ī kā.enāt bantī hai
akele koī banā hī nahīñ sakā mujh ko
koī banā.e to tanhā.ī saath bantī hai
kai andheron ke milne se raat banti hai
aur is ke baad charaghon ki baat banti hai
kare jo koi to mismar hi nahin hoti
na jaane kaun se miTTi ki zat banti hai
banata hun main tasawwur mein us ka chehra magar
har ek bar nai kaenat banti hai
akele koi bana hi nahin saka mujh ko
koi banae to tanhai sath banti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.