Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahin mohabbat ke aasman par visal ka chand Dhal raha hai

Ghulam Husain Sajid

kahin mohabbat ke aasman par visal ka chand Dhal raha hai

Ghulam Husain Sajid

MORE BYGhulam Husain Sajid

    kahīñ mohabbat ke āsmāñ par visāl chāñd Dhal rahā hai

    charāġh ke saath tāqche meñ gulāb phuul jal rahā hai

    bahut dinoñ se zamīn apne madār par bhī nahīñ hai lekin

    abhī vahī shaam chhā rahī hai abhī vahī din nikal rahā hai

    mujhe yaqīñ thā maiñ in sitāroñ ke saa.e meñ umr bhar chalūñgā

    bahut āhistagī se lekin ye saarā manzar badal rahā hai

    kabhī mohabbat se baaz rahne dhyān aa.e to sochtā huuñ

    ye zahr itne dinoñ se mere vajūd meñ kaise pal rahā hai

    kahīñ ravānī meñ baḌh rahe haiñ kahīñ sitāre ruke hue haiñ

    ḳhabar nahīñ kā.enāt ye nizām kis tarah chal rahā hai

    abhī gumāñ tak nahīñ hai 'sājid' use maiñ phir yaad bhī karūñgā

    magar ye kyuuñ aa.ine se haT kar vo aks bhī haath mal rahā hai

    kahin mohabbat ke aasman par visal ka chand Dhal raha hai

    charagh ke sath taqche mein gulab ka phul jal raha hai

    bahut dinon se zamin apne madar par bhi nahin hai lekin

    abhi wahi sham chha rahi hai abhi wahi din nikal raha hai

    mujhe yaqin tha main in sitaron ke sae mein umr bhar chalunga

    bahut hi aahistagi se lekin ye sara manzar badal raha hai

    kabhi mohabbat se baz rahne ka dhyan aae to sochta hun

    ye zahr itne dinon se mere wajud mein kaise pal raha hai

    kahin rawani mein baDh rahe hain kahin sitare ruke hue hain

    KHabar nahin kaenat ka ye nizam kis tarah chal raha hai

    abhi guman tak nahin hai 'sajid' use main phir yaad bhi karunga

    magar ye kyun aaine se haT kar wo aks bhi hath mal raha hai

    Source :
    • Book : meyaar (Pg. 382)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now