kahan socha tha maine bazm-arai se pahle
kahāñ sochā thā maiñ ne bazm-ārā.ī se pahle
ye merī āḳhirī mahfil hai tanhā.ī se pahle
bas ik sailāb thā lafzoñ kā jo ruktā nahīñ thā
ye halchal sat.h pe rahtī hai gahrā.ī se pahle
bahut din hosh-mandoñ ke kahe kā maan rakkhā
magar ab mashvara kartā huuñ saudā.ī se pahle
faqat rañgoñ ke is jhurmuT ko maiñ sach maan luuñ kyā
vo sab kuchh jhuuT thā dekhā jo bīnā.ī se pahle
kisī bhī jhuuT ko jiinā bahut mushkil nahīñ hai
faqat dil ko harā karnā hai sachchā.ī se pahle
ye āñkheñ bhiiḌ meñ ab tak usī ko DhūñDtī haiñ
jo saayā thā yahāñ pahle tamāshā.ī se pahle
kahan socha tha main ne bazm-arai se pahle
ye meri aaKHiri mahfil hai tanhai se pahle
bas ek sailab tha lafzon ka jo rukta nahin tha
ye halchal sath pe rahti hai gahrai se pahle
bahut din hosh-mandon ke kahe ka man rakkha
magar ab mashwara karta hun saudai se pahle
faqat rangon ke is jhurmuT ko main sach man lun kya
wo sab kuchh jhuT tha dekha jo binai se pahle
kisi bhi jhuT ko jina bahut mushkil nahin hai
faqat dil ko hara karna hai sachchai se pahle
ye aankhen bhiD mein ab tak usi ko DhunDti hain
jo saya tha yahan pahle tamashai se pahle
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 68)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.