kahan ki aah-o-zariyan malal tak nahin hua
kahāñ kī āh-o-zāriyāñ malāl tak nahīñ huā
dil-e-ḳharāb pā.emāl yak-ba-yak nahīñ huā
bikhar ga.e the TuuT kar magar ham is ke ba.ad hī
kuchh is tarah sañbhal ga.e kisī ko shak nahīñ huā
baḌī hī karbnāk thī vo pahlī raat hijr kī
dobāra dil meñ aisā dard aaj tak nahīñ huā
sitamgaroñ se dostī chalī tamām zindagī
sitam-zadoñ pe mehrbāñ magar falak nahīñ huā
'aqīl' marg-e-ārzū koī ḳhabar na ban sakī
ye hādisa huā magar lab-e-saḌak nahīñ huā
kahan ki aah-o-zariyan malal tak nahin hua
dil-e-KHarab paemal yak-ba-yak nahin hua
bikhar gae the TuT kar magar hum is ke baad hi
kuchh is tarah sanbhal gae kisi ko shak nahin hua
baDi hi karbnak thi wo pahli raat hijr ki
dobara dil mein aisa dard aaj tak nahin hua
sitamgaron se dosti chali tamam zindagi
sitam-zadon pe mehrban magar falak nahin hua
'aqil' marg-e-arzu koi KHabar na ban saki
ye hadisa hua magar lab-e-saDak nahin hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.