kaha tha kis ne ki ahd-e-wafa karo us se
kahā thā kis ne ki ahd-e-vafā karo us se
jo yuuñ kiyā hai to phir kyuuñ gila karo us se
nasīb phir koī taqrīb-e-qurb ho ki na ho
jo dil meñ hoñ vahī bāteñ kahā karo us se
ye ahl-e-bazm tunuk-hausla sahī phir bhī
zarā fasāna-e-dil ibtidā karo us se
ye kyā ki tum hī ġham-e-hijr ke fasāne kaho
kabhī to us ke bahāne sunā karo us se
'farāz' tark-e-ta.alluq to ḳhair kyā hogā
yahī bahut hai ki kam kam milā karo us se
kaha tha kis ne ki ahd-e-wafa karo us se
jo yun kiya hai to phir kyun gila karo us se
nasib phir koi taqrib-e-qurb ho ki na ho
jo dil mein hon wahi baaten kaha karo us se
ye ahl-e-bazm tunuk-hausla sahi phir bhi
zara fasana-e-dil ibtida karo us se
ye kya ki tum hi gham-e-hijr ke fasane kaho
kabhi to us ke bahane suna karo us se
'faraaz' tark-e-talluq to KHair kya hoga
yahi bahut hai ki kam kam mila karo us se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.