kabhī milī jo tire dard kī navā mujh ko
ḳhamoshiyoñ ne mujhī se kiyā judā mujh ko
badan ke suune khañDar meñ kabhī jalā mujh ko
maiñ terī ruuh kī zau huuñ na yuuñ bujhā mujh ko
maiñ apnī zaat kī ham-sā.egī se Dartā huuñ
mire qarīb ḳhudā ke liye na lā mujh ko
maiñ chup huuñ apnī shikast-e-sadā kī vahshat par
mujhe na bolnā paḌ jaa.e mat bulā mujh ko
ye maiñ thā yā mire andar kā ḳhauf thā jis ne
tamām umr dī tanhā.ī kī sazā mujh ko
bhaTak rahā huuñ maiñ be-samt rāstoñ kī tarah
kisī bhī samt kā ho rāsta dikhā mujh ko
har ik ne dekhā mujhe apnī apnī nazroñ se
koī to merī nazar se bhī dekhtā mujh ko
samo ke āñkhoñ meñ umDī ghaTā.eñ ai 'āzād'
vo ek dard kā sahrā banā gayā mujh ko
kabhi mili jo tere dard ki nawa mujh ko
KHamoshiyon ne mujhi se kiya juda mujh ko
badan ke sune khanDar mein kabhi jala mujh ko
main teri ruh ki zau hun na yun bujha mujh ko
main apni zat ki ham-saegi se Darta hun
mere qarib KHuda ke liye na la mujh ko
main chup hun apni shikast-e-sada ki wahshat par
mujhe na bolna paD jae mat bula mujh ko
ye main tha ya mere andar ka KHauf tha jis ne
tamam umr di tanhai ki saza mujh ko
bhaTak raha hun main be-samt raston ki tarah
kisi bhi samt ka ho rasta dikha mujh ko
har ek ne dekha mujhe apni apni nazron se
koi to meri nazar se bhi dekhta mujh ko
samo ke aankhon mein umDi ghaTaen ai 'azad'
wo ek dard ka sahra bana gaya mujh ko
Source :
- Book : Dasht-e-Sada (Pg. 31)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.